Bazm-e-Sukhan
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Mohsin Naqvi

2 posters

Page 3 of 4 Previous  1, 2, 3, 4  Next

Go down

Mohsin Naqvi - Page 3 Empty Teray Milnay Ka Ek Lamha

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 10:02 pm

Teray Milnay Ka Ek Lamha...!!

.........Bas Ek Lamha Sahi........Laikin..!!

Bikhar Jaye Toa Mausum Hay..!!

Wafa Ka Be-Kira'an Mausum...!!

Azal Say Meharbaan Mausum..!!

Yeah Mausum Aankh Mein Uthrey...!!

...............Toa Ranghoon Say Dehakti Roshni ka..!!

...........................................................Aks Kehlaye...!!

Yea Mausum Dil Mein Tehray Toa..!!

...............Sunehri, Soochti Sadiyoon Ka...!!

...................................Gehra Naqsh Bann Jaye...!!

Teray Milnay Ka Ek Lamha ______ !

...........Muqaddar Ki Lakeeron Mein.....!!

......................Dhanak Bhernay Ka Mausum...!!

Yea Mausum..........!!

...............Khoobsurat Shairy Ka Mausum Hay...!!!

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 3 Empty Muhabatoon Mein Hawas Kay Aseer Hum Bhi Nahe

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 10:03 pm

Muhabatoon Mein Hawas Kay Aseer Hum Bhi Nahe..!!
Galath Na Jaan Itnay Haqeer Hum Bhi Nahe...!!

Nahe Hoo Tum bhi Qayamat Ki Tund-o-Taiz Hawa...!!
Kisi Kay Naqsh-e-Qadam Ki Lakeer Hum Bhi Nahe...!!

Hamari Dhoobti Nab'zoon Say Zindagi Toa Na Maang..!!
Sakhi Toa Hein Magar Itnay Ameer Hum Bhi Nahe...!!

Karam Ki Bheeq Na Dhe, Apna Takht Bakht Sambhaal...!!
Zaroora'toon Ka Khuda Tu, Faqeer Hum Bhi Nahe...!!

Shab-e-Siyah Kay "Mehmaan Daar" Tehray Hein ..!!
Wagarna Teer'ghion Kay Safeer Hum Bhi Nahe...!!

Hamein Bujhaa Dhe, Hamari Anaa Ko Qatal Na Kar...!!
Kay Be-Zarar Hi Sahi , Be-Zameer Hum Bhi Nahe...!!!

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 3 Empty Mein Teray Shaher Say Guzra To

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 10:04 pm

Mein Teray Shaher Say Guzra Toa Kuch Ajab Sa Laga..!!
Har Eik Morr Peh Naqaam Hasratoon Ka Hajoom..!!
Har Eik Raah Mein Maqrooz Khuwahi'shoon Ki Qataar..!!
Har Ek Qadam Peh Shikasta Nidama'ton Kay Mazaar..!!
Har Eik Aankh Mein Marg-e-Ta'luqaat Ka Soog..!!
Har Ek Rawish Peh Rawaan Justoju-e-Rizq Mein Log..!!
Tamam Log Wohi Log Thay Kay Jin Say Kabhi..!!
Nazar Chura K Guzarta Tha Mein Hawa Ki Tarah..!!
Tamam Sa'yee Meri Aankh Mein Bikhartey Rahey..!!
Kisi Kareeb Ki Basti Kay Aash'na Ki Tarah..!!
Mein Teray Shaher Say Guzra Toa Kuch Ajab Sa Laga..!!
Keh Jaisay Shaher Wohi Hay, Wohi Nahe Hay Magar..!!
Koi Gali , Koi Manzer, Kisi Rawish Ka Mizaaj..!!
Jabeen-e-Khaak Mein Pai'west Hein Firaaq Kay Daagh..!!
Fazaa-e-Zard kay Sa'ye Mein Ehtiyaat Kay Saath..!!
Ujaar Baam Mein Chalta Howa ........... Udaas Chiragh..!!
Hawa Say Pooch Raha Tha...... Ek Ajnabi Ki Tarah..!!
Meray Safar Ka Sabab.....Teray Hamsafar Ka Suraag..!!

Har Ek Sawal Muje Kitna Be-Sabab Sa Laga...!!
Mein Teray Shaher Say Guzra Toa Kuch Ajab Sa Laga...!!

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 3 Empty Zamaney Bhar Ki Nigha'hon Mein Jo Khuda Sa Lagey

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 10:04 pm

Zamaney Bhar Ki Nigha'hon Mein Jo Khuda Sa Lagey..!!
Woh Ajnabi Hay Magar Mujko Aash'na Sa Lagey..!!

Najaney Kab Meri Duniya Mein Muskuraye Gha..!!
Woh Eik Shaks kay Khuwaboon Mein Bhi Khafa Sa Lagey..!!

Ajeeb Cheez Hay Yaroo Yea Manziloon Ki Hawas..!!
Keh Raah-e-Zan Bhi Musafir Ko Hamsafer Sa Lagey..!!

Dil-e-Tabah..!! Tera Mashwara Hay Kya K Muje..!!
Woh Phool Rang Sitara Bhi Be-Wafa Sa Lagey..!!

Howi Hay Jis sey Munawer Har Eik Aankh Ki Jheel..!!
Woh Chaand Aaj Bhi Mohsin Ko Kamm Numa Sa Lagey..!!

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 3 Empty Bichar Kay Mujse Kabhi Tu Nay Yea Bhi Socha Hay

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 10:05 pm

Bichar Kay Mujse Kabhi Tu Nay Yea Bhi Socha Hay..!!
Adora Chand Bhi Kitna Udaas Lagtha Hay...!!

Yea Khatam-e-Wisal Ka Lamha Hay, Rai'ghaan na Samaj..!!
Keh Iskay Baad Wohi Doori'yun Ka Sehra Hay..!!

Kach Aur Dher Na Jharna Udasiyun Kay Shajar..!!
Kissey Khaber Teray Sa'ye Mein Kaun Bayta Hay..??

Yea Rakh Rakhao Muhabat Sekha Gaye Usko..!!
Woh Rooth Kar Bhi Muje Muskura kar Milta Hay..!!

Mein Kis Tarah Tuje Dekhoon Nazar Ji'jikh'ti Hay..!!
Tera Badan Hay K Yea Aai'noo Ka Darya Hay...??

Kuch Is Qadar Bhi Toa Asaan Nahe Hay Ishq Tera..!!
Yea Zaher Dil Mein Utter Kar Hi Raas Aata Hay..!!

Mein Tujko Paa Kay Bhi Khoya Howa Sa Rehta Hoon..!!
Kabhi Kabhi Toa Mujey Tu Nay Theek Samja Hay..!!

Muje Khaber Hay K Kya Hay Judai'yun ka Azaab..!!
Keh Meinne Shaakh Say Gull Ko Bichartey Dekha Hay..!!

Mein Muskura Bhi Paraa Hoon Toa Kyun Khafa Hein Yea Log..!!
Kay Phool Too'ti Howi Qaber Par BHi Khiltha Hay..!!

Ussey Ganwaa kay Mein Zinda Hoon Iss Tarah Say Mohsin ..!!
Keh Jaisay Taizz Hawa Mein Chiraagh Jalta hay..!!

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 3 Empty Main aiyna tha, woh maira khayal rakhti thi

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 10:05 pm

Main aiyna tha, woh maira khayal rakhti thi,

Main toot-ta tha to chun kar sambhal rakhti thi..

Har aik maslay ka hal nikal rakhti thi,

Zaheen thi, mujhay hairat main daal rakhti thi..

Main jab bhi tark-e-taluq ki baat karta tha,

Woh rokti thi mujhay, kal pay taal rakhti thi..

Woh mairay dard ko chunnti thi apni pooron say,

Woh mairay wastay khud ko nidhal rakhti thi..

Woh dobnay nahi daiti thi dukh kay darya main,

Mairay wajood ki naow uchaal rakhti thi..

Duain us ki balaon ko rook laiti thin,

Woh mairay chaar so hathon ki dhaal rakhti thi..

Ik aisi dhun kay nahi phir kabhi main nay suni,

Woh munfarid sa hansi main kamal rakhti thi..

Usay nadamatain mairi kahan gawara thin,

Woh mairay wastay asaan sawal rakhti thi..

Bichar kay uss say main dunya ki thokaron me hon Mohsin,

Woh pass thi tau mujhay lazawaal rakhti thi..

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 3 Empty Sukoot-e-sham-e-khizan hai

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 10:06 pm

Sukoot-e-sham-e-khizan hai,
qareeb aa
jao.:?


ßara uddas
smaan hai,
qareeb aa
jao.:?


Na tum ko
khud pe bhrosa,
na hum ko
zoum-e-wafa.:


Na etbaar-e-jahan hai,
qareeb aa
jao.:?


Rah-e-talab
mein kisi ko,
kisi ka dhiyaan
nahi.:


Hujoom-e-hm'safran hai,
qareeb aa
jao.:?


Jo dasht-e-ishq
mein bichre,
wo umar bhar
na mile.:


Yahan dhuwan
he dhuwan hai,
qareeb aa
jao.:?


Ye aandhiyan
hain to shehr-e-wafa ki khair
nahi.:


Zamana
khaak fashan
hai, qareeb
aa jao.:?


Faqeh-e-shehr
ki majlis nahi
k door
raho.:


Ye bazm-e-peer-e-mughan hai,
qareeb aa
jao.:?


Fraz, door k
suraj ghuroob
samjhe
gaye.:


Ye daor-e-kam'nazraan
hai, qareeb
ää jäo.;?

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 3 Empty Re: Mohsin Naqvi

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 10:08 pm

کف دست ہنر ہے اور پتھر
دکان شیشہ گر ہے اور پتھر

غم ختم سفر ہے اور پتھر
پلٹ جانے کا ڈر ہے اور پتھر

مرا گھر اور میں کب تک نبھائیں
کہ بوسیدہ کھنڈر ہے اور پتھر

بڑی مشکل سے سرکائے اندھیرے
دہان غار پر ہے اور پتھر!!

غرور عمر کا حاصل نہ پوچھو
خموشی کا نگر ہے اور پتھر

یہی رسوائیوں کی رت ہے محسن
سر بازار سر ہے اور پتھر

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 3 Empty یہ پچھلے عشق کی باتیں ہیں

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 10:09 pm

یہ پچھلے عشق کی باتیں ہیں
جب آنکھ میں خواب دمکتے تھے
جب دِل میں داغ چمکتے تھے
جب پلکیں شہر کے رستوں میں
اشکوں کا نوُر لُٹاتی تھیں
جب سانسیں اُجلے چہروں کی
تن من میں پھوُل سجاتی تھیں
جب چاند کی رِم جھِم کرنوں سے
سوچوں میں بھنور پڑ جاتے تھے
جب ایک تلاطم رہتا تھا!

اپنے بے انت خیالوں میں
ہر عہد نبھانے کی قسمیں
خط خون سے لکھنے کی رسمیں
جب عام تھیں ہم دل والوں میں
اب اپنے پھیکے ہونٹوں پر
کچھ جلتے بجھتے لفظوں کے
یاقُوت پگھلتے رہتے ہیں

اَب اپنی گُم سُم آنکھوں میں
کچھ دھول ہے بکھری یادوں کی
کچھ گرد آلود سے موسم ہیں
اَب دُھوپ اُگلتی سوچوں میں
کچھ پیماں جلتے رہتے ہیں

اب اپنے ویراں آنگن میں
جتنی صُبحوں کی چاندی ہے
جتنی شاموں کا سونا ہے
اُس کو خاکستر ہونا ہے

اب یہ باتیں رہنے دیجے
جس عُمر میں قصّے پُنتے تھے
اُس عُمر کا غم سہنے دیجے
اَب اپنی اُجڑی آنکھوں میں
جتنی روشن سی راتیں ہیں
ُس عمر کی سب سوغاتیں ہیں

جس عُمر کے خواب خیال ہوُئے
وہ پچھلی عمر تھی بیت گئی
وہ عمر بتائے سال ہوئے

اَب اپنی دید کے رستے میں
کچھ رنگ ہے گزرے لمحوں کا
کچھ اشکوں کی باراتیں ہیں
کچھ بھولے بسرے چہرے ہیں
کچھ یادوں کی برساتیں ہیں

یہ پچھلے عشق کی باتیں ہیں!

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 3 Empty وہ بھی کیا دن تھے کہ پل میں کر دیا کرتے تھے ہم

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 10:13 pm

وہ بھی کیا دن تھے کہ پل میں کر دیا کرتے تھے ہم
عمر بھر کی چاھتیں ہر ایک ہرجائی کے نام

وہ بھی کیا موسم تھے جن کی نکھتوں کے ذائقے
لِکھ دیا کرتے تھے خال و خد کی رعنائی کے نام

وہ بھی صحبتیں تھیں جن کی مُسکراھٹ کے فسوں
وقف تھے اھل وفا کی بزم آرائی کے نام

وہ بھی کیا شامیں تھیں جن کی شُھرتیں منسوب تھیں
بے سبب کُھلے ھوئے بالُوں کی رسوائی کے نام

اب کے وہ رُت ھے کہ ہر تازہ قیامت کا عذاب
اپنے جاگتے زخموں کی گہرائی کے نام

اب کے اپنے آنسوؤں کے سب شکستہ آئینے
کچھ زمانے کے لیے کچھ تنہائی کے نام

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 3 Empty چلو چھوڑو

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 10:14 pm

چلو چھوڑو!
محبت جھوٹ ہے
عہدِ وفا اِک شغَل ہے بے کار لوگوں کا
’’طَلَب ‘‘ سوکھے ہوئے پتوں کا بے رونق جزیرہ ہے
’’ خلش ‘‘ دیمک زدہ اوراق پر بوسیدہ سطروں کا ذخیرہ ہے
’’ خُمارِ وصل ‘‘ تپتی دھوپ کے سینے پہ اُڑتے بادلوں کی رائیگاں بخشش!
’’ غبارِ ہجر ‘‘ صحرا میں سَرابوں سے اَٹے موسم کا خمیازہ

چلو چھوڑو!
کہ اب تک میں اندھیروں کی دھمک میں سانس کی ضربوں پہ
چاہت کی بنا رکھ کر سفر کرتا رہا ہوں گا
مجھے احساس ہی کب تھا
کہ تُم بھی موسموں کے ساتھ اپنے پیرہن کے
رنگ بدلوگی!

چلو چھوڑو!
وہ سارے خواب کچّی بھُر بھُری مٹی کے بے قیمت گھروندے تھے
وہ سارے ذائقے میری زباں پر زخم بن کر جم گئے ہوں گے
تمہارے اُنگلیوں کی نرم پوریں پتھروں پر نام لکھتی تھیں میرا لیکن
تمہاری اُنگلیاں تو عادتاً یہ جُرم کرتی تھیں

چلو چھوڑو!
سفر میں اجنبی لوگوں سے ایسے حادثے سرزد ہوا کرتے ہیں
صدیوں سے

چلو چھوڑو!
میرا ہونا نہ ہونا اِک برابر ہے
تم اپنے خال و خد کو آئینے میں پھر نکھرنے دو
تم اپنی آنکھ کی بستی میں پھر سے اِک نیا موسم اُترنے دو!
’’ میرے خوابوں کو مرنے دو ‘‘
نئی تصویر دیکھو
پھر نیا مکتوب لکھّو
پھر نئے موسم نئے لفظوں سے اپنا سلسلہ جوڑو
میرے ماضی کی چاہت رائیگاں سمجھو
میری یادوں سے کچّے رابطے توڑو

چلو چھوڑو
محبت جھوٹ ہے
عہدِ وفا اِک شَغل ہے بے کار لوگوں کا

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 3 Empty nazar me zakhm-e-tabasum chupa chupa k mila

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 10:15 pm

nazar me zakhm-e-tabasum chupa chupa k mila
khafa to tha magar mujh se muskura k mila

wo hamsafar k mere tanz pe hansa tha bohat
sitam zareef mujhe aayena dikha k mila

mere mizaaj pe heraan ha zindigi ka shaour
me apni mout ko aksar galey laga k mila

me us se mangta kia khoon baha jawani ka
k wo b aj mujhe apna ghar luta k mila

me zakham zakham badan le k chal dia mohsin
wo jb bhi apni quba pe kanwal saja k mila

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 3 Empty yaron ki khamoshi ka baharm kholna para

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 10:16 pm

yaron ki khamoshi ka baharm kholna para
itna sakoot tha k mujhe bolna para

sirf ek talkh baat sunaney se paishter
kanoo me phool phool ka ras gholna para

apne khaton k lafz jalaney parey mujhe
shafaf motioun ko kahan rolna para

suntey thy uski bazam sukhan na shanass ha
Moshin tme whan b sukhan tolna para

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 3 Empty jab samney wo mar-mareen pekar nahi hota

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 10:17 pm

jab samney wo mar-mareen pekar nahi hota
phir deed k qabil koi manzar nahi hota

gham had se guzara hy to ehsaas hua ha
dil bujh k b dil rehta ha pathar nahi hota

har shaks ko mou mangi muraden nahi milti
har shaks mukadar ka sikander nahi hota

kyu aankh se thamtey nahi aansu kisi lamhe
kyu dil ko kahin chain myassar nahi hota

har dil me mohabat ho ye mumkin nahi MOHSIN
har seep k aagosh me gohar nahi hota,,,

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 3 Empty us k bager gar cha meri umar kat gai

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 10:17 pm

us k bager gar cha meri umar kat gai
lekin haya'at kitney anasir me bat gai

me ne usy khareed lia chahaton k baho'o
phir yun hua k qeemat e bazar ghat gai

behti hui ti oout me khuabon ki chandni
me dekhney laga to dareechey se hat gai

logon ne meri shkal k tukrey utha liey
tasweer meri chahney waalon me bat gai

ghar chorney ka jab b irada kia MOHSIN
qadmoo se uski yad ki khushboo lipat gai

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 3 Empty dar-e-qafas se parey jb saba guzarti ha

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 10:18 pm

dar-e-qafas se parey jb saba guzarti ha
kisey khabar k aseeron pe kia guzarti ha

taalukaat kabhi is qadar tootey na thy
k teri yaad b dil se khafa guzarti ha

wo ab miley b to milna ha istarah jaise
bujhe chirag ko choo kr hawa guzarti ha

ye ehl-e-hijar ki basti ha ehtiyat se chal
museebaton ki yahan inteha guzarti ha

na pouch apni aana ki bagawatien MOHSIN
dar-e-qabool se bach k dua guzarti ha...

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 3 Empty her simt gum-e-yar ke toofan hain mohsin

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 10:19 pm

her simt gum-e-yar ke toofan hain mohsin.
mut pooch k hum kitny pareshan hen mohsin.

her chehra nazar aata he tusweer ki soorat,
hum shehar ke logon se bhi unjan hen mohsin.

jis shehar-e-mohabat ny humen loot liya he,
uss shehar se ab kooch ke imkaan hen mohsin.

kushti abhi umed ki doobi to nahi he,
phir kiyon teri ankhon main ye tofan hen mohsin.

kar in ka adab rukh inhen seeny se laga kar,
ye dard ye tunhaiyan mehman hen mohsin.

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 3 Empty chalo koi nagr aaisa basaain

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 10:19 pm

chalo koi nagr aaisa basaain
jahan sab log mil ker muskurrain

jahan mousam,khizaan se ajnabi ho
charaghun se hawa ki dosty ho

situm,shab khun na maray houslun pe
moosallat ho zamin khud 'zalzilin' pe

jahan khushboo rawan ho sholagi main
hawa khud se ''khatak naachay'' gali main

mita e sham e ghum thehrain oojalay
samunder seepun ko khud oochalay

jahan titly hamala per makin ho
ke zarrah ,mehr o mah ka hum nashin ho

jahan oljhain na aandhi se shararay
na khundah zun hun jugnoo pe sitaray

jahan zindaaN na zanjeerain na maqtal
sada roshan rahe sansoon ki mashal

jahan lehrain chehrun per naqabain
jahan tootain na khaymun ki tanabain

jahan heryaliyan jhulsain na loo se
lahoo holi na khailay khud lahoo se

parinday shal na hun kunj e qafs main
rahay bijli ghilaf e khaar o khas main

jahan gulnar hun chehre damak ker
kaman der kaf na hun dushman ke lashker

jahan chehkain her soo fakhtaain
sabhi rukhsaar khud se timtimaain
fersodah lab taranay gungunaain
jahan sab log mil ker muskuraain
chalo koi nagr aaisa basaain

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 3 Empty Khwahish

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 10:20 pm

Qurb Ki Rutt, Hara Bhara Musam....!!

Wasal Ki Aanch , DhooP Jaarray Ki........

Aisay musam May Tujh Say Milnay Ki..!!

Dil May Dum Torti Khwahish....!!
.
Jaisay Jugnoo Udass Raatoon Maein......!!

Shakh Der Shakh Jis TerhA Bhatkay.........!!!!!

Zard Patta Khizaa'n Kay HathOon May.....!!!!

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 3 Empty Azab-e-deed mein aankhen laho laho kr kay

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 10:20 pm

Azab-e-deed mein aankhen laho laho kr kay
Mein sharamsar hoya teri justajo kr kay

Khandar ki teh say barida-badan siron k sawa
Mila na kuch bhi khazanon ki aarzo kr kay

Suna hay shehr mein zakhmi dilon ka maila hay
Chalen gay hm bhi magar pairhan rafo kr kay

Masaft-e-shab-e-hejran kay baad bhaid khula!
Hawa dukhi hay,charagon ki aabro kr kay

Zamen ki pyas usi kay laho ko chat gayi
Wo khush hoya tha smunder ko aab'jo kr kay

Yeh kis nay ham say laho ka khiraj pher manga?
Abhi to soye thay maqtal ko surkharo kar kay

Ujar rut ko gulabhi banaye rakhti hein
Hmari aankh teri deed say wazo kar kay

Koyi to habs-e-hawa say yeh pochta Mohsan
Mila hay kya usay kalion ko be-namo kar kay

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 3 Empty Bichar kar muj say yeh masghala akhtiar karna

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 10:21 pm

Bichar kar muj say yeh masghala akhtiar karna
Hawa say darna,bujhy charagon say pyar krna

Khuli zamenon mein jb bhi sarson k phol mehken
Tm aisi rut mein sada mera intazar krna

Jo loog chahen to pher tmhen yaad bhi na aayen
Kabhi kabhi tm mujy bhi un mein shamar krna

Kisi ko alzam-e-be'wafai kabhi na daina
Meri tarah apnay ap ko sogwar krna

Tmam waday kahan talk yaad rakh sako gay
Jo bhol jayen wo ahd bhi istawar krna

Yeh kis ki aankhon nay badlon ko sikha diya hay
Keh sena-e-sang say rawan aabshar krna

Mein zindgi say na khul saka is leay bhi Mohsin
Keh behtay pani pr kb talk aitbar krna

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 3 Empty Mein dil pr jabar karon ga,tujy bhala don ga

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 10:21 pm

Mein dil pr jabar karon ga,tujy bhala don ga
Maron ga khud bhi,tujy bhi kari saza don ga

Yeh tairgi mery ghar ka he kyon maqadar ho?
Mein tery shehr kay saray diye bujha don ga

Hawa ka hath btaon ga her tabahi mein!
Haray shajar say prinday mein khud ura don ga!

Wafa karon ga kisi sogwar chehray say!
Parani qabar peh katba niya saja don ga

Isi khayal mein guzri sham-e-dard aksar
Keh dard had say barhay ga to muskara don ga

To aasman ki sorat hay,gir paray ga kabhi
Zamen hon mein bhi,magar tujh ko aasra don ga

Barha rahi hein mery dukh,nashanian teri
Mein tery khat,teri tasveer tak jala don ga

Bohat dinon say mera dil udaas hay Mohsin
Is aayenay ko koyi aks ab niya don ga

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 3 Empty Do ghont ka ay saqi elzam nahi lon ga

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 10:23 pm

Do ghont ka ay saqi elzam nahi lon ga
Main tishna labi de kar aik jam nahi lon ga,

Izhar-E-tamana hi toheen-E-tamana hai
Tum khud hi samaj jao main naam nahi lon ga,

Jo sham jagati ho jo subha sulati ho
Woh subha nahi lon ga woh sham nahi lon ga,

Ay ehl-E- chaman! rakh lo ye tuhfa-E-gul apna
Muj ko mera haq dee do inam nahi lon ga,

Likhon ga mohsin jab main fasana muhabbat ka
Aaghaz to lee lon ga aanjam nahi lon ga

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 3 Empty Jantay To hm bhi thay

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 10:23 pm

Jantay
To hm bhi thay
Mantay
To hm bhi hein
Itni taiz aandhi mein
Kb charag jalta hay

Dil magar machalta hay
Dil ki zid ko kya kahiye!
Ab kay hm nay
Socha hay!
Kam-nafs charagon mein
Aik charag aisa bhi
Jal kay hm jalayen gay
Tand-kho hawayen bhi
Us ko jb
Bajayen gi
Dil bhi bujh he jaye ga!

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 3 Empty Ab'r Barsa, Na Hawa Taiz Chali Hay Ab Kay

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 10:24 pm

Ab'r Barsa, Na Hawa Taiz Chali Hay Ab Kay...!
Kitni Veraan Teri Yadoun Ki Galli Hay Ab Kay....!

Subah Ki Dhoop Uther Ayee Mery Baalon Mein...!!
Shabb Dhali Hay K Meri Umar Dhali Hay Ab Kay....!!

Kia Kahon Kitnay Bahano'n Say Behlaya Hay Ussey...!!
Yea Qayamat Barri Mushkil Say Talli Hay Ab Kay..!!

Ya Meri Aankh K Kashkool Mein Aanso Chamka...!!
Ya Andhery Mein Koi Shama' Jalli Hay Ab Kay..!!

Sahen-E-Gulshan Ki Hawa Hay K Qaz'a Ki Dastak...!!
Kitni Sehmi Howi Ek Aik Kali Hay Ab Kay....!!

Kis Ko Fursat Hay Du'waan Dekhnay Jayee Mohsin....!!!
Jhoomprii Shaher Say Kuch Doore Jali Hay Ab Kay...!!

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 3 Empty Re: Mohsin Naqvi

Post by Sponsored content


Sponsored content


Back to top Go down

Page 3 of 4 Previous  1, 2, 3, 4  Next

Back to top

- Similar topics

 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum