Bazm-e-Sukhan
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Meri Pasand :)

2 posters

Go down

Meri Pasand :) Empty Meri Pasand :)

Post by tx_ned Wed Jan 11, 2012 7:53 am


رُکے ہیں پر یہ گذر رہی ھے
یہ زندگی کھیل کر رہی ھے

یہ سانس جس سے بنی کبھی نہ
بدن میں میرے ٹھٹھر رہی ھے

یہی نویدِ سفر ھے شاید
اِک آس گھٹ گھٹ کے مر رہی ھے

خزاں میں جس نے کئے تھے پیماں
وہ تتلی گل سے مکر رہی ھے

نصیب اس اک دعا کا دیکھو
ازل سے محوِ سفر رہی ھے

کب بد نصیبی کسی نے دیکھی
یہ مدتوں میرے گھر رہی ھے



tx_ned
tx_ned

Posts : 22
Points : 40
Join date : 2012-01-07
Location : Manchester, United Kingdom

Back to top Go down

Meri Pasand :) Empty Re: Meri Pasand :)

Post by tx_ned Sat Jan 14, 2012 4:05 am

Udas shamein, ujar rastay
kabhi bulayein to laut ana

kisi ki ankhon mein rat jagon k
azab aayein to laut ana

Mein roz yunhi hawa pe likh likh k
uss ki janib yeh bhejta hoon

K achhay mausam agar paharon pe
muskurayein to laut ana

Naey zamano ka karb orhein
zayeef lamhay, nidhal yadein

Tumharay khwabon k band kamron mein
laut ayein to laut ana

Agar andheron mein chhor kar, tum ko
bhool jayein tumharay sathi

aur apni khatir he apnay apnay
diay jalayein to laut ana

Meri wo batein tu jin pe be ikhtiyar
hasta tha khilkhila kay

bichharnay walay ! meri wo batein
kabhi rulayein to laut ana !!!!
tx_ned
tx_ned

Posts : 22
Points : 40
Join date : 2012-01-07
Location : Manchester, United Kingdom

Back to top Go down

Meri Pasand :) Empty Re: Meri Pasand :)

Post by Mr-kuku Sat Jan 14, 2012 1:12 pm

To Laut Ana .. nICE Mazar bhai !

Mr-kuku

Posts : 43
Points : 124
Join date : 2012-01-07
Age : 40
Location : Barcelona

Back to top Go down

Meri Pasand :) Empty Re: Meri Pasand :)

Post by tx_ned Sat Jan 14, 2012 2:21 pm


چلو ھم مان لیتے ھیں۔
محبت اور سیاست میں
سبھی اطوار جائز ھیں
انا کی جنگ میں جاناں
غلط بھی ٹھیک ھوتا ھے
مگر یہ جنگ کیسی ھے
تم ھی میرے مقابل ھو
چلو ھم جیت کی خواھش
تم ھی پہ وار دیتے ھیں
دھنک کے پل پہ چل کے
گگن کے پار جاتے ھیں
چلو ھم ھار جاتے ھیں




tx_ned
tx_ned

Posts : 22
Points : 40
Join date : 2012-01-07
Location : Manchester, United Kingdom

Back to top Go down

Meri Pasand :) Empty Re: Meri Pasand :)

Post by tx_ned Tue Jan 17, 2012 7:12 am


jo utar ke zeena-e-shaam se teri chashm-e-Khush mein sama gaye
wohi jaltey bujhtey se mahar-o-maah mere baam-o-dar ko sajaa gaye

yeh ajeeb khail hay ishq ka main ney aap dekhaa yeh mojza
woh jo lafz meray gumaan mein thay woh teri zubaan par aa gaye

woh jo geet tum ne suna nahin meri umar bhar kaa riyaz tha
meray dard ki thi daastaan jisey tum hansii mein ura gaye

woh chiragh-e-jan kabhi jis ki law na kisi hawa se nigoon hui
teri bewafai key wasvsay usey chupke chupke bujhaa gaye

woh tha chand shaam-e-visaal kaa ke thaa roop terey jamal ka
meri rooh sey meri aankh tak kisi roshni mein naha gaye

ye jo bandagaan-e-niyaaz hain ye tamaam hai voh lashkari
jinhein zindagii ne aman na di to tere huzoor mein aa gaye

teri berukhi key dayaar mein main havaa ke saath havaa huaa
tere aainey ki talaash mein merey Khwaab chehra ganva gaye

tere wasvason ke fishar mein tera shehar-e-rang ujar gaya
meri khwahishon ke ghubaar mein meray maah-o-saal-e-vafaa gaye

woh ajeeb phool sey lafz thay tere honth jin se mahak uthe
mere dasht-e-Khwab mein door tak koi bagh jaisey lagaa gaye

meri umer sey na simat sakey meray dil mein itney sawal thay
teray paas jitney jawaab thay meri eik nigaah mein aa gaye


tx_ned
tx_ned

Posts : 22
Points : 40
Join date : 2012-01-07
Location : Manchester, United Kingdom

Back to top Go down

Meri Pasand :) Empty Re: Meri Pasand :)

Post by Sponsored content


Sponsored content


Back to top Go down

Back to top

- Similar topics

 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum