Bazm-e-Sukhan
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Etihaad's Choice

2 posters

Go down

Etihaad's Choice Empty Etihaad's Choice

Post by Admin Sat Jan 07, 2012 1:42 am

Mukammal Do He Daano Per Yeh Tasbeeh-e-Muhabbat Hai
Jo Aaye Teesra Daana, Yeh Dori Toot Jaati Hai

Muttayan Waqt Hota Hai Muhabbat Ki Namazon Ka
Adaa Jinki Nikal Jaaye, Qaza Bhe Choot Jati Hai

Muhabbat Ki Namazon Mein Imamat Ek Ko Sonpien
Isey Takne Usey Takne Se Neat Toot Jaati Hai

Muhabbat Dil Ka Sajda Hai, Jo Hai Tauheed Per Qaayim
Nazar Ke Shirk Walun Se Muhabbat Roth Jaati Hai

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Etihaad's Choice Empty Re: Etihaad's Choice

Post by Admin Sat Jan 07, 2012 5:20 pm

وہ ہمسفر تھا مگر اُس سے ہمنوائی نہ تھی
کہ دھوپ چھاؤں کا عالم رہا، جدائی نہ تھی

عداوتیں تھیں، تغافل تھا، رنجشیں تھیں مگر
بچھڑنے والے میں سب کچھ تھا، بےوفائی نہ تھی

بچھڑتے وقت، اُن آنکھوں میں تھی ہماری غزل
غزل بھی وہ، جو کسی کو ابھی سنائی نہ تھی

کبھی یہ حال کہ دونوں میں یک دلی تھی بہت
کبھی یہ معاملہ، جیسے کہ آشنائی نہ تھی

کسے پکار رہا تھا وہ ڈوبتا ہوا دن
صدا تو آئی تھی، لیکن کوئی دہائی نہ تھی

عجیب ہوتی ہے راہ سخن بھی دیکھ نصیر
وہاں بھی آ گئے آخر، جہاں رسائی نہ تھی
[b]

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Etihaad's Choice Empty Re: Etihaad's Choice

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 4:48 pm

Ab tak wohi KHwaab hain wohi mein
Wohi mere gulaab hain......... wohi mein

Ye jism ke jaaN ki tashnagi hai
Wohi taaza saraab hain wohi mein

Zinda hun abhi to maat kaisee ??
Wohi jaaN ke azaab hain...wohi mein

Kehti hai zubaaN KHamoshiyon ki
Wohi dard ke baab hain wohi mein

PaRhte huay jin ko um'r guzri
Wohi chehrey kitaab hain wohi mein

Likhte huay jin ko jaan jaey
Wohi har'f e nisaab hain wohi mein

Wohi ranjishe apne dostoN se
Wohi dil ke hisaab hain wohi mein

Aate hain magar nahin baraste
Wohi tashna sahaab hain wohi mein

Aankhon mein wohi sitaara aankhen
Wohi dil mein gulaab hain wohi mein

Duniya ke sawaal..........aur duniya
Wohi mere jawaab hain....wohi mein !!

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Etihaad's Choice Empty Re: Etihaad's Choice

Post by Rubayee Sun Jan 08, 2012 5:04 pm

Bohut ala nice....

Rubayee

Posts : 8
Points : 15
Join date : 2012-01-08

Back to top Go down

Etihaad's Choice Empty Re: Etihaad's Choice

Post by Sponsored content


Sponsored content


Back to top Go down

Back to top

- Similar topics

 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum