Bazm-e-Sukhan
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

ham jo bichre

2 posters

Go down

ham jo bichre Empty ham jo bichre

Post by waqt Sun Jan 08, 2012 4:12 am

ham jo bichre to batao bhala kya ho ga
teri aankh mein jalta hova
meri yaad ka ek diya ho ga
pochain gay log tujh se sabab teri udaasi ka
kahin palkon pe koi ansoo atka ho ga
bhool jain gay log rafta rafta
samajh kar ek hadsa is ko
in ankhon mein magar
ek dard sa thehar gaya ho ga

waqt

Posts : 1
Points : 3
Join date : 2012-01-08

Back to top Go down

ham jo bichre Empty Re: ham jo bichre

Post by ---CaSpeR--- Sun Jan 08, 2012 5:24 pm

aaNkhoN ka raNg, baat ka lehja badal gayaa
vo shaKhs ek shaam meiN kitnaa badal gayaa

kuch din to mera aks raha aaii’ne pe naqsh
phir yuuN huaa, ke khud miraa chehraa badal gayaa

jab apne apne haal pe hum tum na reh sake
to kyaa huaa jo ham se zamanah badal gayaa

qadmoN talay jo ret bichhi thii vo chal paRii
us ne chhuRaya haath to sehra badal gayaa

koyii bhi chiiz apni jagah par nahiN rahii
jaate hii ek shaKhs ke, kyaa kyaa badal gayaa

---CaSpeR---

Posts : 8
Points : 12
Join date : 2012-01-08
Age : 40
Location : United Arab Emirates Abudhabi

Back to top Go down

ham jo bichre Empty Re: ham jo bichre

Post by ---CaSpeR--- Sun Jan 08, 2012 5:30 pm

[color=red]ik sarKhushi ki mauj ne kaisa kiyaa kamaal
wo bay-nayaaz saaraa ka saaraa badal gayaa

uTh kar chalaa gayaa koii waqfe ke darmiyaaN
pardaa uThaa to saara tamashaa badal gayaa

hairat se saare lafz use dekhte rahe
baatoN meN apni baat ko kaisaa badal gayaa

kehne ko ek sehn meN diivaar hii bani
i ghar ki fazaa makaan ka naqsha badal gayaa

shaayad vafa kay khel se uktaa gayaa tha vo
manzil kay paas aake jo rasta badal gayaa

qaayem kisii bhi haal pay duniya nahiN rahi
i ta’biir kho gayii kabhi sapnaa badal gayaa

manzar ka rang asl meiN saaya tha rang kaa
jis ne use jidhar say bhi dekhaa, badal gayaa

andar ke mausimoN ki khabar us ko ho gayi
i us nau-bahaar-e-naaz ka chehra badal gayaa

aankhoN meiN jitne ashk the jugnuu se ban gaye
vo muskuraaya aur mirii dunyaa badal gayaa

apni galii meN apna hi ghar dhuuNDhte haiN log
Amjad yeh kaun shehr ka naqsha badal gayaa

---CaSpeR---

Posts : 8
Points : 12
Join date : 2012-01-08
Age : 40
Location : United Arab Emirates Abudhabi

Back to top Go down

ham jo bichre Empty Re: ham jo bichre

Post by ---CaSpeR--- Sun Jan 08, 2012 5:33 pm

laboN pe phuul khilte haiN kisi ke naam se pehle
diloN ke diip jalte haiN chiraagh-e shaam se pehle

kabhi manzar badalne par bhi qissa chal nahiiN paata
kahaani khatam hoti hai kabhi anjaam se pehle

yahi taare tumhaari aankh ki chilman meiN rehte the
yahi suuraj nikalta tha tumhaare baam se pehle

diloN ki jagmagaati bastiyoN pe raaj karte haiN
yahi jo log lagte haiN nihaayat aam se pehle

hui hai shaam jungle meiN parinde lauTte hoNge
ab in ko kis tarah rokeN navah-e-daam se pehle

ya saare rang murda the tumhaari shakl banne tak
ya saare harf mohmal the tumhaare naam se pehle

hua hai voh agar munsif to Amjad ehtiyaatan ham
saza tasliim karte haiN kisi ilzaam se pehle

---CaSpeR---

Posts : 8
Points : 12
Join date : 2012-01-08
Age : 40
Location : United Arab Emirates Abudhabi

Back to top Go down

ham jo bichre Empty Re: ham jo bichre

Post by Sponsored content


Sponsored content


Back to top Go down

Back to top


 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum