Bazm-e-Sukhan
Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

Mohsin Naqvi

2 posters

Page 2 of 4 Previous  1, 2, 3, 4  Next

Go down

Mohsin Naqvi - Page 2 Empty Kabhi jo ehd-e-wafa meri jaa(n) tere mere darmeyaan toote

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 9:44 pm

Kabhi jo ehd-e-wafa meri jaa(n) tere mere darmeyaan toote
Main chaahta hoon k is se pehle zamee(n) pe ye aasmaan toote

Teri judaai main hoslon ki shikast dil par azaab thehri
K jaise munh-zor zalzalon ki dhamak se koi chataan toote

Usey yaqee(n) tha k usko marna hai phir bhi khaahish thi us k dil mein
K teer chalne se peishtar dast-e-dushmanaa(n) mein kamaan toote

Wo sang hai to gire bhi dil par wo aa'ina hai to chubh hi jaaye
Kahin to mera yaqeen bikhre kahin to mera gumaan toote

Ujaarr ban ki udaas rut mein ghazal to Mohsin ne cheirr d hai
Kise khabar hai k kis k ma'soom dil pe ab k ye taan toote !

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 2 Empty Kathin tanhaaiyon se kaun khela, main akela

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 9:45 pm

Kathin tanhaaiyon se kaun khela, main akela
Bhara ab bhi mere gaaon ka mela, main akela

Bicharr kar tujhse main shab bhar na soya, kaun roya
Ba-juz mere bhi ye dukh kis ne jhela, main akela

Ye be-aawaaz banjar ban k baasi, ye udaasi
Ye dehshat ka safar, jangal, ye bela, main akela

Main dekhoon kab talak manzar sohaane, sab puraane
Wohi dunia, wohi dil ka jhamela, main akela

Wo jis k khauf se sehra sadhaare log saare
Guzarne ko hai toofaaN ka wo rela, main akela

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 2 Empty Chaahat ka rang tha na wafa ki lakeer thi

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 9:45 pm

Chaahat ka rang tha na wafa ki lakeer thi
Qaatil k haath mein to hina ki lakeer thi

Khush hoon k waqt-e-qatl mera rang surkh tha
Mere laboN pe harf-e-dua ki lakeer thi

Main kaarvaaN ki raah samajhta raha jise
Sehra ki reit par wo hawa ki lakeer thi

Sooraj ko jisne shab k andheron mein gum kia
Mauj-e-shafaq na thi wo qaza ki lakeer thi

Guzra hai shab ko dasht se shaayad wo parda-daar
Har naqsh-e-pa k saath rida ki lakeer thi

Kal uska khat mila k saheefa wafa ka tha
Mohsin har ek satr haya ki lakeer thi

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 2 Empty Woh dil ka bura, na bewafa tha

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 9:46 pm

Woh dil ka bura, na bewafa tha
Bus,mujh say yoonhi bicharr gaya tha

Lafzoon ki hadoon say mawara tha
Aab kis say kahoon woh shakhs kaha tha?

Woh meree ghazal ka aaeina tha
Her shakhs yeh baat janta tha

Her simat ussi ka tazkara tha
Her dil main woh jaisay bus raha tha

Mein uss ki ana ka aasara tha
Woh mujh say kabhi na roothta tha

Mein dhoop k bun main jal raha tha
Woh saya-abr ban gaya tha

Mein banjh rutoon ka aashana tha
Woh mosam-e-gul ka zaiqa tha

Ek bar bicharr kay jab mila tha
Woh mujh say lipatt kay ro pada tha

Kia kuch na ussay kaha gaya tha?
Uss nay to laboon ko see liya tha

Woh chand ka hamsfer tha shayed
Ratoon ko tamam jagta tha

Hontoon main guloon ki naram khushboo
Batoon main to shehad gholta tha

Kehnay ko juda tha mujh say lekin
Woh meree ragoon main gonjata tha

Uss nay jo kaha, kiya woh dil nay
Inkar ka kis main hosala tha

Yoon dil main thi yaad uss ki jaisay
Masjid main charragh jal raha tha

Mat pooch hijab k qareenay
Woh mujh say bhi kam hee khul saka tha

Uss din mera dil bhi tha paresha'n
Woh bhi meray dil say kuch khafa tha

Mein bhi tha dara howa sa lekin
Rang uss ka bhi kuch udda udda tha

Ek khof sa hijar ki rutoon ka
Dono pay muheet ho chala tha

Ek rah say mein bhi tha gurezaa'n
Ek mod pay woh bhi ruk gaya tha

Ek pal main jhapak gaein jo aankhein
Manzer he nazer main dosara tha

Socha to theher gaey zamanay
Dekha to woh door ja chuka tha

Qadmoon say zamee'n sirak gaee thi
Soraj ka bhi rang sanwala tha

Chaltay howay log ruk gay thay
Thehra howa sheher ghoomata tha

Sehmay howay paid kanpatay thay
Patoon main heeras reengata tha

Rakhta tha mein jis main khawab apnay
Woh kanch ka ghar chatakh gaya tha

Hum donoo ka dukh tha aik jaisa
Ehsas mager juda juda tha

Kal shab woh mila tha dostoo'n ko
Kehtay hain uddas lag raha tha

Mohsan yeh ghazal hee keh rahi hai
Shayed tera dil dukh howa tha

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 2 Empty Merey bass main ho to kabhi kahin

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 9:47 pm

Merey bass main ho to kabhi kahin

Koi sheher aisa basaoon main

Jahan fakhtaon ki phurpharahat sey naghma-e-raaz-e-hayat main

Jhunjhunati saanson ki jhanjharain jo chanak uthain

To dhanak k rangon main bheeg jain havaas tak

Jahaan chaand maand na ho kabhi, jahan chaandni ki rida buney

Mairi baanjh dharti k baasiyon ka libaas tak

Jahan sirf hukm-e-yakeen chaley! jahan be-nishaan ho qayaas tak

Jahan aadmiyat k nutq-o-lab pai na sheher-e-yaar ka khof ho

Jahan sarsaray na aadmi ki ragon main koi hiraas tak

Jahan vehem ho na dilon main vehem ka sehem ho

Jahan sach ko sach sey ho wasta

Jahan jugnuon ko hava dikhati ho raasta

Jahan khushbuon sey badalti rut ko hassad na ho

Jahan pastiyon sey bulandiyon ko bhi qud na ho

Jahan khuaab aankhon main jagmagain to....

Jism-o-jaan k sabhi dareechon main tergi ka guzar na ho

Koi raat aisi basar na ho keh, bashar ko apni khabar na ho

Jahan daagh daagh seher na ho

Jahan kashtiyan hon rawan dawan_to samandaron main bhanwar na ho

Jahan barg-o-baar sey ajnabi_koi shaakh, koi shajar na ho

Jahan chehchahatey huey parindon ko_barishon k azzab ka koi darr na ho

Merey bass main ho to kabhi kahin_koi sheher aisa basaoon main

Jahan barf barf mohabbaton pai_gham-e-jaan ka asar na ho

Rah-o-rasm-e-dunia ki bandishain_gham-e-zaat k sabhi zaaiqey

Sum-e-qaainat ki talkhiyan_kisi aankh ko bhi na choo sakain

Jahan mairi saans ki tazgi,tairi chahaton k kanwal main ho

Taira husn mairi ghazal main ho,jahan qaainat ki ik sadaf

Shab-o-roz k kisi pall main ho

Jahan noha-e-gham-e-zindagi,mairi hichkiyon sey ayyan na ho

Jahan loh-e-khaak pai ummr bha,kisi be gunnah k khoon ka

Koi daagh, koi nishaan na ho

Koi sheher aisa kabhi,,,,...kahin! jahan dhoop chaon galey milain

Jahan baanjh rut main bhi gull khilain

Jahan chahaton k hujoom main_kabhi geet ammn k gaoon main

Jahan zindagi ka rijz parhoon_jahan be khallal gungunaoon main!

Jahan moj moj ki aut main_tu kiran baney, muskuraoon main

Mairey bas main ho to kabhi kahin

Koi sheher aisa bassaoon main

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 2 Empty Zikr-E-Shab-E-Firaq say weh'shat usay bhi thi

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 9:48 pm

Zikr-E-Shab-E-Firaq say weh'shat usay bhi thi,
Meri tarhan kisi se Mohabbat usay bhe the....

Mujh ko showk tha naye chehroon ki deed ka,
Rasta bhool kar chalnay ki Adat ussay bhe the....

Mujh'say bichar kay zamanay bhar say ghul mill gaya woh shaks,
Warna zamanay bhar say adawat ussay bhe thee...

Tanha howa safar main to mujh per khul yeh raaz
Saaye say payaar dhoop say nafrat ussay bhe thi....

Woh mujh say barh kar zabt ka aadi tha jee gaya,
Warna har aik sans qayamat ussay bhi thi....

Mohsin main youn bhi keh na saka Hal-E-Dil ussay,
Dar'paish aik taza musibat ussay bhi thi...!!!

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 2 Empty jab se us ne shahar ko chho.Daa har rastaa sun_saan huaa

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 9:51 pm

jab se us ne shahar ko chho.Daa har rastaa sun_saan huaa
apanaa kyaa hai saare shahar kaa ik jaisaa nukasaan huaa

mere haal pe hairat kaisii dard ke tanhaa mausam me.n
patthar bhii ro pa.Date hai.n i.nsaan to phir i.nsaan huaa

us ke zaKhm chhupaa kar rakhiye Khud us shaKhs kii nazaro.n se
us se kaisaa shikavaa kiije vo to abhii naadaan huaa

yuu.N bhii kam aamez thaa "Mohsin" vo is shahar ke logo.n me.n
lekin mere saamane aakar aur hii kuchh a.njaam huaa

[aamez=social/one who mixes freely]

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 2 Empty zamane bhar kee nigahon main jo Khuda sa lage

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 9:52 pm

zamane bhar kee nigahon main jo Khuda sa lage
wo ajnabee he magar muj ko aashna sa lage

na jaane kub meree dunya main muskuraye ga
wo ek shakhs ke khwabon main bhe khafa sa lage

ajeeb cheez he yaaro ye manzelon kee hawas
ke raahzan bhee musafir ko rehnuma sa lage

dil tabah! tera mashwara he kia ke mujhe
wo phool rang sitara bhee bewafa sa lage

hoyee he jis se munawar her aik aank kee jheel
wo chaand aaj bhee MOHSIN ko kum numa sa lage

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 2 Empty Wafa mai ab yeh hunar ikhtiyaar karna hai

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 9:52 pm

Wafa mai ab yeh hunar ikhtiyaar karna hai
Wo such kahey na kahey aitbaar karna hai

Yeh tujh ko jaagtey rehnay ka shauq kab say hua
Mujhey toh khair tera intezaa karna hai

Hawa kay zadd mai jalaaney hain ansooon kay chiraagh
Kabhi yeh jashn sar-e-raah guzaar karna hai

Woh mukura kay nayee waswason mai daal gaya
Khayal tha keh usay sharmsaar karna hai

Misaal-e-shaakh-e-barehna khizaan ki rut mai kabhi
Khud apnay jism ko bai barg-o-baar karna hai

Tairay firaaq mai din kis tarhan kattey apnay
Keh shughal-e-shab toh sitaarey shumaar karna hai

Chaloo yeh ashq hi moti samajh kar baich ayeen
Kisi tarhan toh humein roz gaar karna hai

Kabhi toh dil mai chupay zakhm bhi numayan ho
Qaba samajh kay badan taar taar karna hai

Khuda khabar yeh koi zidd kay shauq hai "Mohsin"
Khud apni jaan kay dushman say pyar karna hai

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 2 Empty Mere Naam Se Pehle

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 9:52 pm

abh ke us ki ankhon mien
besabab udaasi thi
abh ke us ke chehray per
dukh tha...behawasi thi

abh ke yun mila mujh se
yun ghazal suni...jese
mein bhi na_shanasa hoon
wo bhi ajnabi jesse

zard khaal o khad uss ke
sogawar daman tha
abh ke uss ke lahjay mein
kitna khudra pan tha

wo ke umer bhar jis ne
shahr bhar ke loogon mien
mujh ko hum sukhan jana
khud se mehrban samjha
mujh ko "Dilruba" likha

abh ke sada kaghaz per
surkh roshnai se
us ne talkh lahjay mein
mere naam se pehle!
sirf "Bewafa" likha

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 2 Empty Ghazloon Ki Dhanak Oorh Mairay Shoola Badan Tu

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 9:53 pm

Ghazloon Ki Dhanak Oorh Mairay Shoola Badan Tu
Hai Maira Sukhan Tu.... Maira Mozooh E Sukhan Tu

Kaliyoon Ki Tarah Phoot Sar E Shaakh E Tamana
Khushboo Ki Tarah Phail Chaman Ta Ba Chaman Tu

Nazil Hoon Kabhi Zehan Pay Aayaat Ki Sourat
Aayaat Mein Dhal Jaa Kabhi Jabril Dehan Tu

Ab Kiyon Na Sajaoon Main Tujhay Deeda O Dil Mein
Lagta Hai Andhairay Mein Sawairay Ki Kiran Tu

Yeah Kam To Nahi Tu Maira Mayaar E Nazar Hai
Aye Dost Mairay Wastay Kuch Aur Na Nan Tu

Mumkin Ho To Rehnay Dey Mujhay Zulmat E Jaan Mein
Dhoonday Ga Kahaan Chandini Ratoon Mein Kafan Tu

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 2 Empty Funkaar hai toh haath pay sooraj saja kay la

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 9:53 pm

Funkaar hai toh haath pay sooraj saja kay la
Bujhta hua diya na muqaabil hawa kay la

Darya ka inteqaam dabo day na ghar tera
Saahil say roz roz na kankar utha kay la

Samaan wafa kay baandh magar soch soch kar
Is ibteda mai yun na sakhat inteha kay la

Thori si aur mauj mai aa, ayee hawa-e-gul
Thori si uskay jism ki khushboo chura kay la

Gar sochna hai ehl-e-mashiyaat kay hauslay
Maidan say ghar mai ek mayyat utha kay la

*Mohsin* ab uska naam hai sab ki zabaan par
Kis nay kaha tha usko ghazal mai saja kay la?

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 2 Empty shaam e gham jab bikhar gaiee hoo gee

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 9:55 pm

shaam e gham jab bikhar gaiee hoo gee
janay kis kis kay ghar gaiee hoo gee ?

itni larzaan na thee chiraagh ke loo
apnay saye say dar gayee hoo gee

chandini ik shab ke mehmaan thee
subah hootay hee mar gayee hoo gee

dair tuk woh khafa rahay mujh say
door tuk yeah khabar gayee hoo gee

aik darya ka rukh badaltay hee
aik nadee phir utar gayee hoo gee

jiss tarhaan woh safar pay nikla tha
saree rounaq udhar gayee hoo gee

raat souraj ko dhoondnay kay liyeah
ta ba hud e sehar gayee hoo gee

mairee yadoon kee dhoop chaoon mein
uss ke sourat nikhar gayee hoo gee

ya taluq na nibh saka uss say
ya tabiyaat hee bhar gayee hoo gee

tairi pal bhar ke dosti mohsin
uss ko bad'naam kar gayee hoo gee

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 2 Empty Aaj ke shaam maray dil main charaghiaan hai bohat

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 9:55 pm

Aaj ke shaam__ maray dil main charaghiaan hai bohat
shoorah-a-durad pus-a-chaak giraibaan hai bohat

yaad-a-yaariaan say munawar hain dur-o-bam-a-hayaat
fikar-a-aariash-a-dildar durkhshiaan hai bohat

runjash-a-dilzudgiaan hud say bari jatee hai
bukashish-a-gurdish-a-dooraan be faraviaan hai bohat

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 2 Empty aaj ke shaam samaity howay gumgushta naqoosh

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 9:56 pm

aaj ke shaam samaity howay gumgushta naqoosh
zeena zeena maray seenay main utar aayee hai

moosam a hubas hai aisa kay muasar ab tu
shoorash-a-hulqa-a-ahbab na tunhai hai

khood main simtoon tu bikharnay ke khulish dustee hai
khood say bahar be na shuharat hai na ruswaii hai

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 2 Empty karwatiaan durad badalta hai pus-a-lumha-a-shooq

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 9:56 pm

karwatiaan durad badalta hai pus-a-lumha-a-shooq
aahatiaan daman-a-aaghaz main anjaam ke hain

maray chahary pay dahaktay hai rukh-a-dahar kay rung
maray maathay pay khirashiaan ghum-a-aayam ke hain

maray hoontoon pay duaan ke lakeeriaan hain
maray seenay main sabhi saaitiaan Ilham ke hain

mari dukhtee hoi aankhoon main magar aaj ke shaam
jitnee shamiaan be farooziaan hai taray naam ke hain

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 2 Empty Aab kay youn bhi tairi zulaf ke shikan tooti hai

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 9:56 pm

Aab kay youn bhi tairi zulaf ke shikan tooti hai
Rung phootay, kaheen khushbo ke rasan tooti hai

Mout Aaye Hai keh Taskeen Ke saa'at aye hai
Saans tooti hai kay sadiyoon ke thakan tooti hai

Seena e gul jahaan nikhat bhi giraan thehri hai
Teer Ban Kar Wahaan souraj ke kiran tooti hai

Dil Shakasta Tu Kaye Baar Howay Thai Laikin
Aab kay Youn hai kay har shakh e badan tooti hai

Itni Bay'rabat mohabbat bhi kahaan thi apni
Darmayaan Say Kaheen Zanjeer e sukhan tooti hai

Aik shoola keh tah e khaima e jaan lapka tha
Aik bijli kay sar e sehan e chaman tooti hai

silsala tujh say bicharnay pay kahaan khatam howa
Ik zamanay say rah o rasam e kohan tooti hai

Mairay yaroon kay tabassum ke kiran maqtal mein
Nook e naiza ke tarhan zair e kafan tooti hai

Raiza Raiza mein bikharta gaya mohsin
Sheesha sheesha mairi sanginee e fun tooti hai

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 2 Empty Tu Mera Naam Na Poocha Ker

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 9:57 pm

Tu Mera Naam Na Poocha Ker
Main Teri Zaat Ka Hissa Hoon
Main Teri Soch Main Shamil Hoon
Main Teri Neend Ka Qissa Hoon
Main Tery Khawab Ka Haasil Hoon
Main Teri Yaad Ka Mehver Hoon
Main Teri Saans Ka Jhonka Hoon
Tu Manzar,Main Pas-Manzar Hoon
Main Lamha Hoon,Main Jazba Hoon
Jazby Ka Koi Naam Nahi..
Tu Mera Naam Na Poocha Ker

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 2 Empty Men ny is Tor sy chaha tujhy aksar janan

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 9:58 pm

Men ny is Tor sy chaha tujhy aksar janan!
jesy mahtab ko be ant samander chahy...
jesy sooraj ki kiran seep ky dil men otry..
jesy khushboo ko hawa rang sy hat ker chahy

jesy pather ky kalejy sy kiran phoot ti hy
jesy ghanchy khilly mosam sy hina mang ty hen
jesy khaboon men khayaloon kia kaman toot ti hy
jesy barish ki doa aabla pa mangty hen

mera her khab mery sach ki gawahi dy ga
wos'at e deed ny tujh sy teri chahat ki hy
meri sansoon men kabhi dekh sarapa apna
men ny dunia sy alag teri paristish ki hy

khawahish e deed ka mosam kabhi dhundla jo hoa
noch dalli hen zamanoon ki naqabeen men ny
teri palkoon sy oterti hoi subhoon ky liy
tor dali hen sitaroon ki tannaben men ny

men ny chaha ke tery hosn ki gulnar fizza
meri ghazloon ki qataroon sy dahekti jay
men ny chaha ke mery fan ky gulistan ki bahar
teri aankhon ky gulaboon sy mehekti jay

tay to ye tha ke sajata rahy lafzoon ky kanwal
mery khamosh khayaloon men takkalum tera
raqs kerta rahy, bherta rahy khushboo ka khumar
meri khawahish ky jazeeroon men tabassum tera

too..mager,..! ajnabi mahol ki perwerda kiran
meri bujhti hoi ratoon ko sehar ker na saki
teri sansoon men maseehai thi.....lekin too bhi!
chara e zakhm e gham e deeda e tar ker na saki

tujh ko maloom hi kab hy ke kissi dard ka dagh
aankh sy dil men otter jay to kia hota?
too...! ke seemab tabbiat hy! tujhy kia maloom?
mosam e hijjer theher jay to kia hota hy?

too ny os mor pe tora hy ta'aloq ke jahan
dekh sakta nahin koi bhi palat ker janan

ab ye aalam hy ke aankkhen jo kkhullen gi apni
yaad aay ga teri deed ka manzar janan

mujh sy mangy ga tery ehd e mohabbat ka hisab
tery hijjran ka dehekta hoa mehshar janan

yoon mery dill ky baraber tera gham aaya hy
jesy sheeshy ky moqabil koi pather janan

JESY MAHTAB KO BE ANT SAMANDER CHAHY
MEN NY IS TOR SY CHAHA TJHY AKSAR JANAN!!!

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 2 Empty Woh Shaakh-e-Mehtaab Katt Chuki Hay

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 9:59 pm

Buhat Dino Say..................
Woh Shaakh-e-Mehtaab Katt Chuki Hay..!!
Keh Jispar Tumne Garift-e-Wada Ki Reeshmi Shaal kay...
Sitarey Sajaa Deye Thay..!!


Buhat Dino Say ..
Woh Gird-e-Ehsaas Chatt Chuki Hay..!!
Keh Jiskay Zaroon Peh Tumne ..!!
Palkoon Ki Jaal'ron Kay Tamaam Neelum Lutta Diye Thay...!!


Aur Ab Yun Hay Kay Jaisay.!!
Lab-Basta Hijar'toon Ka Har Eik Lamha..!
Taweel Sadiyun Ko Oarh Kar Saans Lay Raha Hay..!!


Aur Ab Toa Yun Hay Kay Jaisey Tumne..!!
Pahaar Ratoon Ko...!!
Meri Andhi Ujaar Ankhon Mein..!!
Reza Reza Bassa Diya Hay..!!


Kay Jaisay Meinne.............
Fighaar-e-Dil Ka Hunnar Assaasa..!!
Kahein Chupaa Kar Bhula Diya Hay...!!!



Aur Ab Toa Yun Hay Kay...................
Apni Aankhon Peh Haath Rakh Kar...
Meray Badan Par Sajay Howey Aab'loon Say Behta Lahoo Na Dekho ...!!
(Muje Kabhi Sur-khuruu Na Dekho...)
Na Meri Yadoon Kay Jaltay Bujtey Nishaan Dekho..!!
Na Meray Maqtal Ki Khaakh Dekhoo..!!



Aur Ab Toa Yun Hay Keh ..!!
Apni Aankhoon Kay Khuwaab ....
Apnay Dareeda Damann Kay Chaakh Dekho...!!
Keh Gard-e-Ehsaaaas Chatt Chuki Hay..............

Keh Shaakh-e-Mehtaab Katt Chuki Hay............!!!!!!!

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 2 Empty Bewafa

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 9:59 pm

Ab k uski aankhon main..!!
Be-sabab udasi thi !!!
Ab k us k chahrey par..!!
Dukh tha, be-hawasi thi !!!


Ab k yoon mila mujh say !!
Yunn Ghazal suni jaisey..!!
Main bhi na-shanasa hoon...!!!
Woh bhi ajnabi jaisey...!!


Zard khal-o-khud us kay..!!
Su'gawaar daman tha...!!
Ab k uskay lehjay main...!!
Kitna khurdra punn tha !!!

Woh umer bhar jis nay
Shahar k logo main..!!
Mujh ko hum-sukhan likha........!!!
Dil sy aashna likha...!!
Khud sy maharbaan samjha...!!


Ab k sada kagiz par..!!
Surakh roshna'e say
Us nay talakh lehjay main..!!
Meray naam say pahlay...!!

Sirf “BEWAFA’’ likha!!!!

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 2 Empty Kabhi Phir Milenge To Puchhna

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 10:00 pm

Abhi Kya Kahein Abhi Kya Sunayein,
Ke Sar-E-Faasil-E-Sukoot-E-Jaan,
Kuf-E-Roz-O-Shab Pe Sharar Numa,
Wo Jo Harf Jarf Charag Tha,
Use Kis Hawa Ne Bujha Diya,

Kabhi Lab Hilenge To Puchhna,

Sar-E-Sahar-E-Ahad-E-Visaal-E-Dil,
Wo Jo Nikahaton Ka Hujoom Tha,
Use Dast-E-Mauj-E-Firaaq Ne,
Tah-E-Khaak Kab Se Mila Diya,

Kabhi Gul Khilenge To Puchhna,


Abhi Kya Kahein Abhi Kya Sunaayein,
Yunhi Khwahishon Ke Fishaar Mein,
Kabhi Be-Sabab Kabhi Bekhalal,
Kahan Kaun Kisse Bichhd Gaya,
Kisne Kisne Kaise Ganwa Diya,

Kabhi Phir Milenge To Puchhna...

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 2 Empty Ab Aye Meray Ehsaas-e-Junoon, Kya Muje Dena

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 10:00 pm

Ab Aye Meray Ehsaas-e-Junoon, Kya Muje Dena...??
Daryaa Ussey Baksha Hay Toa Sehra Muje Dena...!!

Tum Makaan Jab Karoo Taqseem Toa Yaroo...!!
Ghirtii Howi dewaar Ka Saya Muje Dena...!!

Jab Waqt Ki Murja'ee Howi Shaakh Sambalo...!!
Uss Shaakh Say Toota Howa Lamha Muje Dena..!

Tum Mera Badan Aurh Kay Phirtey Raho.....Laikin..!!
Mumkin Hoo Toa Ek Din Mera Chehra Muje Dena...!!

Chuu Jaye Hawa Jiss Say Toa Khushbo Teri Aye..!!
Jaatey Howey Eik Zakhm Toa Aisa Muje Dena...!!

Shab Bhar Ki Musafat Hay Guwahee Ki Talabgaar...!!
Ayee Subah-e-Safar, Apna Sitara Muje Dena...!!

Ek Dard ka Mela Kay Laga hay Dil-o-Jaan Mein ..!!
Ek Rooh Ki Awaaz Kay "Rasta Muje Dena"...!!

Ek Taza Ghazal Azn-e-Sukhn Maangh Rahi hay ..!!
Tum Apna Mehakta Howa Lehjaa Muje Dena..!!

Woh Mujse Kahein Bahr Kay Museebath Mein Tha Mohsin..!!
Reh Reh Kay Magar Uska Dilaasa Muje Dena..!!!

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 2 Empty Bichray Howey Yaroon Ki Sadaa Kyun Nahe Aati

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 10:01 pm

Bichray Howey Yaroon Ki Sadaa Kyun Nahe Aati..??
Ab Roozn-e-Zindaa'n Say Hawa Kyun Nahe Aati..??


Tu Ab Bhi Salamat Hay Safar Mein Toa Musafir...!!
Teray Leye Hontoon Par Dua Kyun Nahe Aati..??


Pathar Hoo Toa Kyun Khoof-e-Shab-e-Gham Say Ho Larzaa'n..??
Insaan Hoo Toa Jeenay Ki Aadaa Kyun Nahe Aati..??


Ek Pairr Kay Saaye Say Hawa Pooch Rahi Hay...!!
Ab Dasht mein Makhlooq -e -Khuda Kyun Nahe Aati..??


Chehroon Peh Woh Sarsoon Ki Dhanak Kya Howi Yaroo..!!
Hathoon Say woh Khushboo-e-Hina Kyun Nahe Aati...??


Bastii Mein Sabhi Log Salamath Hein Toa Mohsin ...!!
Awaaz Koi Apnay Siwa Kyun Nahe Aati....??

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 2 Empty Kabhi Jo Ehad-e-Wafa Meri Jaan.., Teray Meray Darmiyan Tootey

Post by Admin Sun Jan 08, 2012 10:01 pm

Kabhi Jo Ehad-e-Wafa Meri Jaan.., Teray Meray Darmiyan Tootey..!!
Mein Chahta Hoon Kay Issey Pehlay Zameen Peh Yea Aasmaan Tootey..!!

Teri Judaii Mein Hosloon Ki Shikast, Dil Par Azaab Tehri..!!
Keh Moun-zoor Zal'zaloon Ki Dhamak Say Koi Chitaan Tootey..!!

Ussey Yaqeen Tha Keh Usko Marna Hay, Phir Bhi Khuwish Thi Uskay Dil Mein..!!
Keh Teeer Chalnay Say Paish'tar Dast-e-Dushmanaa'n Ki Kamaa'n Tootey..!!

Sabhi Dale'lain Sambhaal Kar Bhi Meray Waqeloo Yea Sooch Lena..!!
Wohein Peh Meri Shikist Hogi Jahan Bhi Mera Bayaan Tootey..!!

Fana Kay Teelay Par Kheema-e-Jaan,, Hawa Kay Jhonkay Say Yun Gira..!!
Keh Jaisay Bad-Qistmati Say Buzdil Shikari'on Ki Machaan Tootey..!!

Woh Sangg Hay Toa Girray Bhi Dil Par.. Woh Aaina Hay Toa Chubb Hi Jaye..!!
Kahein Toa Mera Yaqeen Bikhrey, Kahein Toa Mera Ghumaan Tootey...!!

Ujaar-bann Ki Udhaas Rutt Mein, Ghazal Mohsin Nay Chairr Dhi..!!
Kissey Khaber Hay Keh Kis Kay Masoom Dil Peh Ab Kay Yea Taan Tootey..!!

Admin
Admin

Posts : 130
Points : 141
Join date : 2012-01-06
Location : Pakistan

https://bazm.forumur.net

Back to top Go down

Mohsin Naqvi - Page 2 Empty Re: Mohsin Naqvi

Post by Sponsored content


Sponsored content


Back to top Go down

Page 2 of 4 Previous  1, 2, 3, 4  Next

Back to top

- Similar topics

 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum